CHHUP GAYE SHAARE NAZAARE SONG LYRICS - Lata mangeshkar || Mohd.Rafi

 

Singer Lata mangeshkar || Mohd.Rafi
Music Laxmikant pyarelal
LYRICS       Anand Bakshi


Chhup Gaye Sare Najare old Hindi song . This song is sung by Lata Mangeshkar and Mohammad Rafi. the music is given by Laxmikant Pyarelal the lyrics is written by Anand Bakshi

CHHUP GAYE SHAARE NAZAARE SONG LYRICS

Chhup gaye sare nazare oye kya baat ho gayi
Chup gaye sare najare oye kya baat ho gayi
Toone kajal lagaya din mein raat ho gayi
Toone kajal lagaya din mein raat ho gayi
Mil gaye naina se naina oye kya baat ho gayi
Mil gaye naina se naina oye kya baat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulakat ho gayi

Kal nahin aana, mujhe na bulana
Ke marega tana zamana
Kal nahin aana, mujhe na bulana
Ke marega tana zamana
Tere honthon pe raat yeh bahana tha
Gori tujhko to aaj nahi aana tha
Tu chali aayi duhaai oye kya baat ho gayi
Tu chali aayi duhaai oye kya baat ho gayi
Maine chhoda zamana tere sath ho gayi
Ho maine chhoda zamana tere sath ho gayi
Ho toone kajal lagaya din mein raat ho gayi
Ambua ki daali pe gaaye matwaali
Koyalia kaali niraali
Ambua ki daali pe gaaye matwaali
Koyalia kaali niraali
Sawan aane ka kuchh matlab hoga
Baadal chhane ka koi sabab hoga
Rimjhim chhayein ghatayein oye kya baat ho gayi
Rimjhim chhayein ghatayein oye kya baat ho gayi
Teri chunri lehraayi barsat ho gayi
Teri chunri lehraayi barsat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulakat ho gayi

Chhod na baiyan, padoon tere paiyan
Taaron ki chhainyan mein saiyaan
Chhod na baiyan, padoon tere paiyan
Taaron ki chhainyan mein saiyaan
Ek woh din tha milaati na thi tu ankhiyan
Ek yeh din hai tu jaage saari-saari ratiyan
Ban gayi gori chakori oye kya baat ho gayi
Ban gayi gori chakori oye kya baat ho gayi
Jiska dar tha bedardi wohi baat ho gayi
Ho jiska dar tha bedardi wohi baat ho gayi
Chhup gaye sare nazare oye kya baat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulakat ho gayi



Post a Comment

0 Comments