Daya Kar Daan Bhakti Ka Hame Parmatma Dena Lyrics in English

                     

Daya Kar Daan Bhakti Ka Lyrics in English

                      Daya Kar Daan Bhakti Ka

Hame Parmatma Dena
Daya Karana Hamari Aatma Ko
Shuddhata Dena

Hamare Dhyan Mein Aao
Prabhu Aankhon Mein Bas Jao

Andhere Dil Mein Aakar Ke
Param Jyoti Jaga Dena

Daya Kar Daan Bhakti Ka
Hame Parmatma Dena

Baha Do Prem Ki Ganga
Dilon Mein Prem Ka Sagar

Hame Aapas Mein Mil – jul Ke
Prabhu Rahana Sikha Dena

Daya Kar Daan Bhakti Ka
Hame Parmatma Dena

Hamara Dharm Ho Seva
Hamara Karm Ho Seva

Sada Eeman Ho Seva
Wa Sevak Jan Bana Dena

Daya Kar Daan Bhakti Ka
Hame Parmatma Dena

Vatan Ke Vaste Jeena
Vatan Ke Vaste Marana

Vatan Pe Jan Fida Karana
Prabhu Hamako Sikha Dena

Daya Kar Daan Bhakti Ka
Hame Parmatma Dena

Daya Karana Hamari Aatma Ko
Shuddhata Dena



Post a Comment

0 Comments